SalamShehar e Azimabad Bihar jo ab Patna k naam se jaana jaata hai yahan matami Juloos ka aagaaz marhoom Syed Mohammad Mehndi Hassan Khan saheb urf Badshah Nawab Rizvi ne 19wee sadi mein kiya. Unhone Nauhakhani wa matami dasta ke liye ek toli banaya jo "Badshah Nawab Toli" ke naam se mashoor hua tha.Ismein marhoom Syed Iqbal Haider saheb & marhoom Jhunnu Miya nauhakhwani karte the. Sann 1903 mei toli ke 5 afraat ne milker ek Anjuman tayyar ki aur ba unwane panjatan e pak a.s iska naam anjuman e panjatani diya gya.ye anjuman us waqt ke matami julooso aur patna k azaakhano mein Nauhakhani aur seenazani karte pesh aai.marhoom jhunnu Miya is Anjuman ke pahle Sahebeyaz bane.guzarte waqt ke sath sath iss Anjuman mein kafi log shaamil hue. |